Sabih Rehmani
-:- WELCOME TO SABIH REHMANI FORUM -:-

Join the forum, it's quick and easy

Sabih Rehmani
-:- WELCOME TO SABIH REHMANI FORUM -:-
Sabih Rehmani
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.
Search
 
 

Display results as :
 


Rechercher Advanced Search

Log in

I forgot my password

Latest topics
» Aplus RehmaT E ramzaan Hosted By sahir Lodhi
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptyFri Apr 18, 2014 4:21 pm by aliswl24

» Message Of Sabih Rehmani
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptyFri Jan 17, 2014 9:33 am by zoiocean

» Pakistan main Naat goee ki tehreek (aik sarsari jaiza)
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptySun Sep 08, 2013 5:26 pm by sabaz jali

» MUHAMMED MEHBOOB (Bazm-e-Ghousia)
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptySun Sep 08, 2013 5:22 pm by sabaz jali

» Searching For Naat
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptyThu Aug 29, 2013 5:58 am by Usman Munir

» PIR SYED NASEER UD DIN NASEER SAHIB, NAAT, LAHAD MEIN WO SURAT DIKHAI GAI HAY
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptyFri Aug 02, 2013 6:43 am by oktzai

» Famous Naat khwans Latest Naat
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptyWed Jul 03, 2013 10:21 am by crisalex

» naat,hamad
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptySun Jun 30, 2013 7:57 pm by muhammad.shaban293@gmail.

» Naat Needed
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ EmptyWed May 15, 2013 10:47 am by Adeel

Statistics
We have 2331 registered users
The newest registered user is MD.Saleem

Our users have posted a total of 5673 messages in 3716 subjects
Gallery


NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Empty
Poll

Who is your favourite Naat Poet?

NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap23%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 23% [ 40 ]
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap7%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 7% [ 13 ]
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap36%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 36% [ 63 ]
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap3%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 3% [ 6 ]
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap9%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 9% [ 16 ]
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap2%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 2% [ 3 ]
NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_lcap19%NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Vote_rcap 19% [ 33 ]

Total Votes : 174

RSS feeds


Yahoo! 
MSN 
AOL 
Netvibes 
Bloglines 


May 2024
MonTueWedThuFriSatSun
  12345
6789101112
13141516171819
20212223242526
2728293031  

Calendar Calendar

Who is online?
In total there are 3 users online :: 0 Registered, 0 Hidden and 3 Guests :: 1 Bot

None

[ View the whole list ]


Most users ever online was 89 on Wed Feb 16, 2011 7:54 am

NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ

2 posters

Go down

NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Empty NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ

Post  zarnigar Wed Apr 07, 2010 12:33 pm

Jis lafz ko sun kar khayal,makeen gumbad e khazra ki janib ho jata he woh naat he yani woh ashaar jin ka taaluq HUZOOR RAHMAT UL LILAALAMIN(SALLALAH O ALAIH E WASSALLAM)ki zaat e giraami se ho-naat ka ye aik takhsisi mafhoom he jis par urdu zuban ko baja fakhr he ke hisay mein aaya is se qabl arabi lughaat aur farsi zuban mein is lafz ke judagana mafhoom thay-Dr Rafi uddin ashfaq aur deegar muhaqqiqeen ne is lafz par tafseel ke saath behas ki he jo lughat se istilaah mein anay tak safar ki dastaan he-
Apnay wasf e mutlaq se nikal kar khair ul bashar ki madha sarai mein akar makhsoos ho janay ka aizaaz urdu ko hi mila-Dr Farman Fateh puri apni kitab "URDU KI NAATIA SHAYERI" mein yuon farmatay hein:-
"usoolan ANHAZRAT(SALLALAHO ALAIHE WASSALLAM)ki madha ke mutaaliq nasr aur nazm ke har tukrray ko naat kaha jaye ga"isi tarah Mumtaz Hassan bhi naat ki taareef bayan kartay hein:-
"Meray nazdeek har woh shair naat he jis ka taasur HUZOOR NABI E KAREEM(SALLALAH O ALAIHE WASSALLAM)ki zaat e girami se qareeb laye-"

GHAZAL AUR NAAT MEIN MUBALGHA AARAYE
Rivayat ghazal aur naat mein aik farq mubalghay ka he aksar naatia adab par likhay gaye mazaameen mein ye kaha jata he ke naat mein mubalgha ki gunjaish nahin ya midhat nigaari mein qalam,sifat o sataish ke liye be qaraar ho kar machalnay lagay to usay mubalghay ki had tak janay se roka jaye-ye khayal naatia adab ke hawalay se kai baar samnay aaya lekin ye baat qalb ko mutmain nahin karsaki na hi zehan ke liye qabil e qubool hui-Ghazal mein mubalghay ko pasand nahin kia jata ke is mein darogh goi shamil hoti heaur ghair yaqeeni baat ko jhoot ka libas pehnaye baghair ye mumkin nahin lekin naat mein mubalghay ki zaroorat hi nahin hoti-
Jahan mamdooh ke fazaail mubalghay ki hudood se bohat aagay hon,jahan shaayer ka parinda e fikr apni intahaaye quwwat e parwaaz ke bawajood mamdooh ke muqaam tak rasaai hasil nahin karsakta ho,mubalghay ka itlaaq wahan nahin hosakta aap mubalghay ko kia keh kar rad farmayen gay yehi ke ye qayaas se bahar he,gumaan mein nahin aata,aql isay tasleem nahin karti jahan aql,gumaan aur qayaas ki narasaai tasleem ki jati he wahan mubalghay ka wajood kiuon kar mana jaye-
shaayer Quraan aur Hadees ki roshni mein,rehnumaaye mein safar karta he-siddra se guzarta he,Qaab a Qosain tak aata he aur phir"Aoadani"par dam bakhud hojata he is ki chashm e takhayyul "summa dana fatadalla"(phir wo qareeb hua aur qareeb hua)ke waqaye ki deed se mehroom thi ke Qaab a Qosain ka manzar aaya jo aql e insaani ki rasaaye se baalatar he ke phir kia hua khabar nahin ye khabar to Quraan ne di "faoha illa abdihi maohaa"(pas wahee ki Allah ne apnay banday ki taraf jo wahee)
Meraaj aik waqeaa he Allah ke mehboob ke saath pesh aanay wala isi tarah aur bhi asraar o ramooz maarfat heinjin ka taaluq Huzoor(SALLALAHO ALAIHE WASSALLAM)ki zaat e aqdas se he jahan insaani aql ki rasaai he hi nahin to phir shaayertouseef o sanaaye mehboob e rab mein jis had tak ja sakta he woh is had us ki apni quwwat e mutakhayyala ka kamal to ho sakti he lekin muqaam e Mustafa ka adraak phirbhi na mumkin he-
(Reffrence book"NAATIA ADAB MEIN TANQEED AUR MUSHKILAAT E TANQEED"Musannif o Mohaqqiq Syed Hussain Ali Adeeb Raipuri)

zarnigar
SENIOR MEMBER
SENIOR MEMBER

Posts : 1569
Points : 3715
Join date : 2009-08-23

Back to top Go down

NAATIA SHAYERI AUR RIVAYATI GHAZAL KA FARQ Empty Subhan Allah

Post  hamza Tue May 04, 2010 1:15 pm

Jazzak Allah. I love Islam.

Naat - Owais Raza Qadri
Naats -Download Naat
Mp3 Naat - Download Naats

hamza
1-Star
1-Star

Posts : 19
Points : 31
Join date : 2009-08-08

Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum